Virat Kohli Biography in Hindi, Centuries, Net Worth, Age, IPL 2025, Wife Name & Family

You are currently viewing Virat Kohli Biography in Hindi, Centuries, Net Worth, Age, IPL 2025, Wife Name & Family
Virat Kohli Biography in Hindi

Hello doston, to aapko pata hi chal gaya Hoga ki aaj hum ek aise khiladi ke baare m baat karenge jinhe hum ek samanya khilade ka darja nhi de sakte. Cricket ki duniya ke king , ek behtareen  aur apni performance se sabko chaka chaundh kar dene wale legendary player jinke naam se hi unki performance ka pata chalta hai Virat Kohli Biography in Hindi ,Wiki, Wife, Age, Weight, Height, RCB, Net worth baare me baat karenge.

Virat Kohli Biography

Virat Kohli ka janm 5 November 1988 Delhi, India punjabi hindu family me hua. Inke pita ka naam Prem Nath Kohli jo ki criminal lawyer the aur Maa ka naam Saroj Kohli jo ek housewife hai. Virat Kohli apni puri family me sabse bade hai. Virat Kohli ki cricket journey me Unko support karne ki bhumika unke pita Prem Kohli ne nibhai thi.

Virat Kohli Biography

Virat Kohli Biography in Hindi

रियल नाम (Full Name)Virat Kohli
निक नाम (Nickname)Chiku
जन्म (Date Of Birth)5 November 1988
आयु (Age)36 Years
जन्म स्थान (Birth Place)Delhi, India
पेशा (Occupation)Cricketer
राष्ट्रीयता (Nationality)Indian
होमटाउन (Home Town)Delhi, India
जाति (CASTE)NA
HobbiesCricket
SchoolNA
College/UniversityNA
Debut2008
Height5 ft 9 in
Weightin Kilograms- 63 kg
Skin ColourBrown
Eye ColourGrey
Hair ColourBrown And Black
Virat Kohli Biography In HIndi

Virat Kohli Childhood

Virat Kohli Biography

Virat Kohli ke bachpan ke sall Uttam Nagar me beete  aur aapko jaankar hairani hogi ki Kohli ne 3 sal ki umra se hi Cricket ke prati dilchaspi  dikhani shuru ki thi. Unke Parivar  ne bataya Hai Ki vah balla uthate the aur apne Mata Pita se gendbazi karne ke  ko kahate the.

1988 me, West Delhi me ek Cricket Academy banai gyi thi. Padosiyon ke sujahav se Kohli ke pita ne uneh peshevar cricket academy me admission dil aane par vichar kiya. Unka maanna tha ki Virat ki chamta gully cricket se kai badke hai.

Kohli ne sabse pehle Under-15 team apni jagah bnaai phir unhone academy me training liya aur Vasundhara Enclave me located Sumit Dogra Academy me hone waale matches me bhag liya.

Cricket Career ko aage badhane ke liye, unhone apni 9th class ki siksha ke dauran Saviour Convent school me transfer kar liya.18 December 2006 me unke pita ki cerebral attack ki wajah se maut hone ke baad Virat ke behaviour me bada change deakhne ko mila.

Uske baad unhone cricket ko gambheerta ke saath apnaya, khel ke samay ko priority di aur  poori tarah se khudko khel ko samarpit kar diya.  2015 me Kohli khi family Meera Baag, Paschim Vihar me rehta tha,jiske baad ve Gurgaon chale gya.

ODI Captain

2013  Westindies me 3 countries  ki series me Kohli ne ek Captain ke roop me khela tha Jab use Samay Bhartiya kaptan M.S Dhoni chotil  ho gaye the.  aur unhone series ke Baki matchon mein bhi kaptani jari rakhi.  Iske bad unhone Zimbabwe ke khilaf ODI series me bhi  Bharat ki kaptani ki Jab kai senior Khiladiyon ko aaram diya gaya tha. Kohli ne moujood na hone ke karan 2014 Asia Cup me bhi Bharat ki kaptani ki jis mein unhone 1 century banai. Lakin Bharat final me pahunchne me asfal rahi. 

Virat Kohli Biography

Jab bhi hum Logon Ne Kohli ko field per ballebaji karte dekha hai usse unke aggressive batting style Ka Pata Chalta Hai. jise hum unki pehli test kaptani mein dekh sakte hai.

Jab 2014 me  Australia ke khilaf match se pehle MS Dhoni chotil ho gye the.  Kohli ne apni kaptani  paari me century bnaya. Kohli apne iss century se satisfy nahi the aur unhone dusri paari me 141 run banaye vo bhi tab jab Bharat 364 runs ke peecha karne ke kareeb tha.

Kohli ne 3rd test 50 run banay aur Bharat ne test draw kara liya.

Virat Kohli IPL Career

Jaisa ki hum log jante hai ki Virat Kohli ne apne poore IPL career me sirf Royal Challenger Bengaluru ke liye hi khela hai aur IPL Itihaas mein sirf ek franchise ke liye khelne wale pehle khiladi hai. 

RCB ke liye unke pahle 2 season kuch khaas nahi the.  lekin 2010 me vice captain banne ke baad  unhone kuch behtareen pariyan kheli thi. Kohli ko 2011 IPL auction mein 1.8 million dollar me retain kiya gaya tha.

Unhone RCB ke liye kai important paariyan kheli hai jiski wajah se RCB final me pahuch pai thi. Lakin us saal RCB ne CSK ke khilaf final match khela tha aur use jeetne nakam rahe. 

Virat Kohli Biography

Virat Kohli ko 2013 Mein kaptan chuna gaya aur unhone agle 8 season me unhone RCB ka marddarshan karna Jari Rakha 2014 me unhen ek baar phir 1.6 million dollar me retain kiya. 2015 me unke score me sudhar dekhne ko mila jab ve batting ke liye upar aaye.

IPL ke Itihaas Mein Virat Kohli ek aiise ballebaaz Rahe Jinka  individual score sabse Jyada raha hai lekin RCB ka khitab jeet na pana unke fans ko niraash kar raha hai.

Virat Kohli Wife Name

Virat Kohli aur bollywood actress Anushka Sharma ki mulakat advertisement ke set  per hui thi jisme dono ko ek role karne ke liye sign kiya gaya tha unhone. Uske baad 2013 me dono ne  dating Shuru ki auri unki lokpriyata ke karan unhen Viruskha ka naam Diya Gaya.

Virat Kohli Biography

11 December 2017 ko Virat Kohli aur Anushka Ne Italy ke Florence mein aayojit Ek ceremony mein shaadi kar li.

11 January 2021 ko Unki Pehli Santan ek beti Hui Jinka Naam unhone Vamika Rakha. 

15 February 2024 ko unke Ghar dusri Santan unhone Akaay naam deker apne bete ka swagat kiya.

Virat Kohli Debut

First ODI debut- 18 Aug 2008 Vs Sri Lanka
Last ODI debut- 9 March 2025 Vs New Zealand
T20 debut- 12 June 2010 Vs Zimbabwe
Last debut- 29 June 2024 Vs South Africa

Virat Kohli: Controversy

Controversy: In the Melbourne Test :

Melbourne TestKohli par laga match fees ka 20% jurmana: Australian batter Sam Constas ko dhakka maara tha, aur dono ke beech me kaafi behas bhi hui thi. Melbourne me ho rahe is Test match me, Virat Kohli aur 19 saal ke Australian batter Sam Constas ke me beech kaafi behas hui thi. Is wajah se ICC ne Indian player Virat Kohli pe match fees ka 20% percent ka jurmana laga diya hai.

Controversy With Gautam Gambhir : 

2013 me RCB aur KKR ke match ke baad, Virat Kohli aur Gautam Gambhir ke beech kaafi garama-garmi wali behas ho gayi thi. Us waqt Gautam Gambhir Kolkata Knight Riders (KKR) ke captain the. Kohli aur Gambhir ke beech ki jhagde ki wajah poore tarah saamne nahi aai hai par aisa lagta hai ki LSG ke opener Kyle Mayers aur Kohli ke beech hui baat-cheet thi, jisme Gautam Gambhir ne Mayers ko kheench kar rok diya tha.

Virat Kohli Biography

Facts About Virat Kohli

  • Virat Kohli pehle aise Khiladi hai jinhone 10 Salon Mein 20,000 runs banae Hain.
  • ICC ne unhen 2011 se 2020 tak dashak ka khitaab diya hai.
  • Virat Kohli ne apne Naam 10 ICC awards Kiye Hain. Jisse ve international cricket mein sabse jyada awards jeetne wale cricketer ban gye hai.
  • Virat Kohli ne  389 international cricket 243 T20s me  586 se jyada sixes maare hai. 
  • Virat Kohli ne 2012, 2017, 2018 aur  2023 mein 4 bar ODI Player of the year ka khitab jita hai

Virat Kohli centuries

Virat Kohli ne abhi tak (2025) tak 82 centuries lagayi hai jisme 51 Odi centuries, 30 Test centuries aur 1 T20 centurie hai.

Virat Kohli ko the chase master kyu kaha jata hai ?

Bade se bade target to virat ko asani se chase karte dekha gya h isliye uneh chase master kehte hai

Virat Kohli ne kon si bollywood actress se shadi ki hai?

Anushka Sharma 

Virat Kohli age?

2025 me Virat kohli ki age 36 hai

RCB ne Virat Kohli IPL 2025 me kitne me kharida?

RCB ne Virat ko 21 Crore me khareeda

Virat Kohli ke Bete (Son Name) ka naam?

Akaay Kohli

Virat Kohli ke daughter ka naam?

Vamika

🚨 Rajat Patidar RCB Captain
🚨 Varun Chakravarthy Biography & Wife

Subscribe kare PB Sports Talks for Latest Updates

Leave a Reply