Masoom Sharma Biography in Hindi, Wife Photo & Name, Net Worth, Controversy, etc..

You are currently viewing Masoom Sharma Biography in Hindi, Wife Photo & Name, Net Worth, Controversy, etc..
Masoom sharma biography in hindi

Hello doston, Aaj hum baat karenge unke fans dwara pyar se kahe jaane wale Dada Masoom Sharma (Masoom Sharma Biography in Hindi, Wife Photo & Name, Net Worth) ke baare mein. Lekin, unke haters ya phir unko criticize karne wale log unko “Badmashi songs singer” me count karte hain.

To chaliye, aaj hum unki filmi, music industry aur personal life ke baare mein baat karenge. Is post mein jo bhi publicly available data hai, wahi humne aapke saath share kiya hai.

Aur aisi hi detailed posts padhne ke liye bhooliyega mat—sirf ek hi platform: PeoplesBiography.in

Masoom Sharma biography in Hindi

रियल नाम (Full Name)Masoom Sharma
निक नाम (Nickname)Dada Masoom Sharma
जन्म (Date Of Birth)27 March 1991
आयु (Age)33 Years
जन्म स्थान (Birth Place)Brahmanwas
पेशा (Occupation)Singer, Youtuber
राष्ट्रीयता (Nationality)Indian
होमटाउन (Home Town)Brahmanwas, Jind District, Haryana
जाति (CASTE)N/A
HobbiesSinging, Dance
SchoolGovt. School,
College/UniversityN/a
DebutN/A
Height5’11 Feet
Weightin Kilograms- 70 kg
Skin ColourBrown
Eye ColourBrown
Hair ColourBrown And Black
Masoom Sharma Biography In HIndi

Massom Sharma Childhood

Masoom Sharma ka janm 27 March 1991 ko Gaon Brahmanwas, Jind District, Haryana mein hua tha. Unka hometown bhi yahi hai. Unhone apni schooling Sarkari School se ki hai. Iske baad, unhone apni higher education music aur acting field mein puri ki.

Masoom sharma biography in hindi
Masoom sharma biography in hindi

Songs Career

Masoom Sharma ne bataya ki jab vo 8th class me the, tab apne doston ke sath Mumbai chale gaye the. Unko bachpan se hi acting ka shauk tha, aur ek book padhne ke baad unka interest aur bhi badh gaya. Lekin unka turning point tab aaya jab unhone apne pitaji se acting course ki fees maangi. Unke pitaji ne mana kar diya aur bola, “Acting ka koi course nahi hota.”

Uske baad Masoom ne music me graduation start kar di. Dheere-dheere unke songs release hone lage. Unka pehla song 2008 me aaya tha, par wo chal nahi paya. Lekin unhone mehnat nahi chhodi aur 2014 me Kothe Chadh Lalkaru song se unko popularity mili. Uske baad unhone kabhi piche mudkar nahi dekha. Unke back-to-back hit songs me Olhe Mein Patola, English Medium, Lala Ji Ki Chhori jaise gane shamil hain.

Masoom Sharma’s Most Viewed Song

Masoom Sharma’s Wife Name aur photo

Masoom Sharma ne 30 October 2017 mein shaadi ki thi. Halanki, unki wife ka naam publicly available nahi hai, lekin unki wife ke saath kuch photos available hain. Abhi unka ek beta aur ek beti hain. Unke bete ka naam Netritv Sharma hai.

Masoom sharma biography in hindi
Masoom sharma biography in hindi

Masoom Sharma net Worth

Jaisa ki aap sab jaante hain, Masoom Sharma ek singer hain, aur singer ki income kaafi cheezon par depend karti hai, jaise ki unke gaane kitne hit huye hain ya phir unhone kitne live shows kiye hain. Isliye exact figure batana impossible hai, lekin estimated unka net worth 35 se 40 lakh ke beech hai. Ismein unka per song charge lagbhag 1 se 2 lakh tak hota hai.

Masoom Sharma Age

Masoom Sharma ka janm 27 March 1991 ko Brahmanwas gaon, Jind, Haryana mein hua tha. Toh abhi unki age 33 years hai

Masoom Sharma controversy

Masoom Sharma jaise-jaise public mein popular hote gaye, waise hi unka naam controversies se bhi judta gaya. Aayiye, unse judi kuchh bade mamlon par nazar daalte hain.

Masoom Sharma ko mili Dhamki

16 March 2021 ko Masoom Sharma ko ek WhatsApp call aayi, jismein ek unknown person ne unko galiyan di aur dhamkiyan di. Jab Masoom Sharma ne us vyakti se pucha ki wo kaun hai, toh usne koi jawab nahi diya aur call cut kar diya. Is incident ke turant baad, Masoom Sharma ne Julana police station mein ek complaint register karvai thi.

Case registered for allegedly blackmailing a woman

December 2021 mein, ek mahila ne Julana police station mein Masoom Sharma aur unke teen aur saathiyon – Gaurav, Vikas, aur Deepak ke khilaf complaint file ki thi. Mahila ne arop lagaya ki Masoom ke bhai Vikas aur Deepak, aur ek mutual friend Gaurav ne unka shoshan kiya aur unhe dhamkiyan di.

Mahila ke mutaabik, Gaurav ne unse ₹48,000 udhaar liye the apni maa ke ilaaj ke bahane. Lekin jab mahila ne apne paise maange toh Gaurav baar-baar bahane banakar talta raha. Fir kuch dino baad, Gaurav ne mahila ko Masoom Sharma ke recording studio bulaya paise wapas dene ke bahane, lekin wahan usne unka shoshan kiya.

Mahila ka kehna hai ki iske baad Masoom ke bhai Vikas aur Deepak ne bhi unka shoshan kiya. Sirf itna hi nahi, Gaurav ne iss poore incident ka video record kiya aur mahila ko dhamki di ki agar usne kisi se kuch kaha toh yeh video viral kar diya jayega. Mahila ne arop lagaya ki Masoom Sharma ne unhe jaan se maarne ki dhamki bhi di thi agar unhone police se complain ki.

Comedian Vishwash Chauhan par goli chalane ka mamla

July 2022 mein Haryana ke ek stand-up comedian Vishwash Chauhan ne Masoom Sharma ke khilaf police complaint file ki thi. Unka kehna tha ki Masoom Sharma ne unke ghar Rohtak, Haryana mein unke upar revolver se goli chalayee thi.

Vishwash Chauhan ka kehna tha ki dono ke beech kisi baat par garma-garmi ho gayi thi, jiske baad Masoom ne gusse mein aakar goli chalayee. Halanki, goli unhe nahi lagi. Vishwash ne yeh bhi aarop lagaya ki Masoom Sharma ne unhe dhamkaya aur unke premises 15 din ke andar khali karne ke liye kaha.

Baad mein, Vishwash Chauhan ne is mamle par police complaint di, jismein police ne dono parties ke beech settlement karwa diya.

Diler Kharkiya ke sath controversy

Masoom Sharma ki hal hi mein famous Haryanvi singer Diler Kharkiya ke sath bhi ek badi controversy hui thi. Yeh mamla tab charcha mein aaya jab Masoom Sharma ne live aakar Diler Kharkiya ko criticize kiya aur ek song bhi release kiya. Is controversy ke dauraan unhone indirectly Gajendra Phogat ko bhi target kiya tha. Yeh poora mamla Raju Punjabi ji ki aakhri vidai (final rites) mein shamil na hone ko lekar shuru hua tha.

Masoom Sharma Songs Ban By Haryana Govt.

15 March 2025 ko Haryana government ki taraf se YouTube par se Masoom Sharma ke kuchh gaane hata diye gaye. Is incident ke baad Masoom Sharma ne live aakar is par apna reaction diya. Unhone bataya ki sarkar ne noise pollution ke naam par unke gaane remove karvaye hain, lekin unka maana hai ki agar aisa rule hai toh sirf unke songs hi nahi, balki sabhi artists ke gaane hataye jane chahiye. Unhone is mamle ko unfair bataya aur indirectly firse Gajendra Phogat par target kiya ki unki sifarish par unke gaane hataye gaye hain.

People Also Ask

Q. Masoom Sharma’s Son Name?
A. Netritv Sharma

Q. Massom Sharma’s Nick Name?
A. Abhi inke fans inhe Dada Massom Sharma bolte hai

Q. Masoom Sharma Songs Ban?
A. Hanji, abhi unke songs govt. of haryana se youtube se hata diye hai jo ki noise pollution section ke under ban hue hai aur ek reason Badmashi songs jayda the ye bhi bola gaya hai.

Masoom Sharma Story

Hanji doston! Kaisi lagi hamari ye blog post-Masoom Sharma biography in hindi ke baare mein? Ismein humne aapko unki complete journey batayi hai. Abhi filhaal vo apne songs ban ko lekar charcha me hain.

Aisi hi aur interesting blog posts ke liye hamari website People’s Biography aur hamare social media handles ko zaroor follow karein. Dhanyavad! 🙌

Leave a Reply